Roman script

nagin ja bas apne dware

ae nagin ja bas apne dware

mere piya mere prano se pyare

nagin ja bas apne dware

saanso ne ab tak na chhedi shahnayi

ang piya ke na main lag payi

jee bhar ke abhi pi ko na dekha

faili nahi abhi kajre ki rekha

haldi ka abhi rang na chhuta

jude ka ek phul na tuta

hatho ki mehandi roye bindiya pukare

ae nagin ja bas apne dware

ae nagin ja bas apne dware

nari ke jivan ki ek hi punji

aaye suhag ki raat na duji

nari ke jivan ki ek hi punji

aaye suhag ki raat na duji

mujhse ye pahli raat na chhino

mujhse piya na sath na chhino

aas adhuri abhi sapne kunware

ae nagin ja bas apne dware

ae nagin ja bas apne dware

tu hai hathi to

tujhko samna sati ka karna hoga

pati ko dasne se pahle

tujhe mujhko dasna hoga

badla lekar tum badle ki

aag bujha na sakogi

man ka chain to tabhi milega

jab tu kshama karogi

tum bhi ho nari o meri bahna

tum bhi ho nari o meri bahna

jag me pati hi ek naar ka gahna

apna suhag maangu jholi pasare

ae nagin ja bas apne dware

ae nagin ja bas apne dware

mere piya mere prano se pyare

ae nagin ja bas apne dware

Explore this song