Roman script

ae mere dil bata kya bura keh diya

ae mere dil bata kya bura keh diya

bewafa ko agar bewafa keh diya

bewafa ko agar bewafa keh diya

dil mera chhin kar, pehale dil me raha

phir kisi aur ko usne apna kaha

usko maalum hai, kitna tadpa hu mai

usko maalum hai, maine kya kya saha

sharm aati nahi phir bhi usko jara

isliye besharam behaya keh diya

isliye besharam behaya keh diya

uske dil me hai kya, main samajh na saka

kya kahu ke main, kitna nadaan tha

bholi bhali nazar me hai itna zeher

is haqiqat se dil haye anjaan tha

sach to ye hai shuru se wo beimaan tha

pyaar me jisko, maine khuda keh diya

pyaar me jisko, maine khuda keh diya

ae mere dil bata kya bura keh diya

ae mere dil bata kya bura keh diya

bewafa ko agar bewafa keh diya

bewafa ko agar bewafa keh diya

Explore this song