Roman script

ae khuda dard o gum ka silsila aaj isi dam tod de

zindagi lamha lamha mat jala mera daman chhod de

sans lena lage ab saza kya karunga main ji ke bata 

kya karunga main ji ke bata 

koi hum safar na koi hum nawa

palkon me chubhe bas yadon ka dhuan

koi hum safar na koi hum nawa

palkon me chubhe bas yadon ka dhuan

dil me kuch nahi zakhmo ke siwa

nakam hogai har dawa har dua

kya karunga main ji ke bata

kya karunga main ji ke bata 

ruk jaye sanson ka silsila dil dhadakna chhod de

pyar mera jana jis din tujhe pyar karna chhod de

main jiyun tujhse ho ke juda na dikhaye ye wo din khuda 

na dikhaye ye wo din khuda

bahon me teri meri raaten ho basar

jagun har seher bas tujh ko dekh kar

ho o baahon me teri meri raten hon basar

jagun har seher bas tujh ko dekh kar

main tere ishq mein khud se hun bekhabar

bin tere bin tere kuch na aaye nazar

teri chahat ho mujh se khafa na dikhaye yeh wo din khuda 

na dikhaye ye wo din khuda

Explore this song