Roman script

aye ghuncha dahan bekas dulha 
aye seam badan bekas dulha
mujre ke liye aayi haye 
uttho naashaad dulhan bekas dulha
duniya se nayi ye shaadi hai 
dono he taraf barbaadi hai
shabbir ki beti bewah dulhan 
aur ibne hassan bekas dulha
haye khowf mujhe naaraaz na ho 
marzi hai tumhaari kya bolo
main haath mein ab kangna rakhu 
ya rakhu rasan bekas dulha
humnaam hu main bhi daadi ki 
haye tumko qasm is shaadi ki
banwaado mujhe bhi rone ko 
ek baithul hazan bekas dulha
ye beqabri mujhse qasim chilthey hai 
mere paonchey qasim
khulwa do ke uljhi jaati haye 
kangne mein rasan bekas dulha

Song details

Song video

Watch on YouTube