Roman script

abhi ghar na jana, abhi ghar na jana

abhi ghar na jana, abhi ghar na jana

ye bikhari si zulfe ye faila sa kaajal

ye fika sa gazra ye simta sa aanchal

tere haal se log pehchaan lege

tujhe dekh kar sab mujhe jaan lenge  

mujhe jaan lege

abhi ghar na jana, abhi ghar na jana

abhi ghar na jana, abhi ghar na jana

ye behake kadam ladkhadati jawaani

hain betaab dil aur mohabbat deewani

ye behake kadam ladkhadati jawaani

hain betaab dil aur mohabbat deewani

shafaq jaise gaano pe ubhari huyi hain

mere hoth ki ek mehekti nishaani

tere jism se udati meri ye khushbu

suna degi har ek ko saari kahaani

na banjaaye apna milan ek fasaana

milan ek fasaana

abhi ghar na jana, abhi ghar na jana

jo puchhega koi to tum kya kahogi

sawalo ki bauchhar me chup rahogi

jo puchhega koi to tum kya kahogi

sawalo ki bauchhar me chup rahogi

pareshaan ghabhrai si khamoshi me

jawaabo ki manzil bahot dur hogi

bujurago ki aankhen udda degi ranggat

saheli ki taane kahan tak sunogi

na banjaaye khud jaal har ik bahana

har ik bahana

abhi ghar na jana abhi ghar na jana

abhi ghar na jana abhi ghar na jana

khuda na karen tere bin ab jiyun main 

ye duniya to kya hain, ke jaanat na lun main

khuda na karen tere bin ab jiyun main 

ye duniya to kya hain, ke jaanat na lun main

tere ashq me apni aankhon me bhar lun

jo mot aaye to tere badle me marun main

ye jeevan to kyaa hain jo mil jaaye mujhko

to ye chaand suraj bhi sadke karun main

agar mar gaye to phir janam leke aana

janam leke aana

abhi ghar na jana abhi ghar na jana

abhi ghar na jana abhi ghar na jana

ye bikhari si zulfe ye faila sa kaajal

ye feeka sa ghazra ye simta saa aanchal

tere haal se log pehchaan lege

tujhe dekh kar sab mujhe jaan lege

mujhe jaan lege

abhi ghar na jana abhi ghar na jana

abhi ghar na jana abhi ghar na jana

Explore this song