Roman script

ab wo karam kare ke sitam main nashe me hu

mujhko na koi hosh na gam main nashe me hu

sine se bojh unke gamo ka utaar ke

aaya hu aaj apni jawani ko haar ke

jawani ko haar ke

kahte hain dagmagate kadam main nashe me hu

mujhko na koi hosh na gam main nashe me hu

ab wo karam kare ke sitam main nashe me hu

mujhko na koi hosh na gam main nashe me hu

wo bewafa hain ab bhi ye dil maanta nahi

kambakhat nasamajh hain unhe jaanta nahi

unhe jaanta nahi

main aaj tod dunga bharam main nashe me hu

mujhko na koi hosh na gam main nashe me hu

ab wo karam kare ke sitam main nashe me hu

mujhko na koi hosh na gam main nashe me hu

fursat nahi hain rone rulane ke vaaste

aaye na unki yaad satane ke vaaste

satane ke vaaste

is waqt dil ka dard hain kam main nashe me hu

mujhko na koi hosh na gam main nashe me hu

ab wo karam kare ke sitam main nashe me hu

mujhko na koi hosh na gam main nashe me hu

main nashe me hu

main nashe me hu

main nashe me hu

Explore this song