Roman script

ab main raashan ki kataro me nazar aata hu

apne kheton se bichhadne ki saza paata hu

itni mehangaayi ke bazaar se kuch laata hu

apne bacchon me use baant ke sharmata hu

ab main raashan ki kataro me nazar aata hu

apni nindo ki lahu pochhne ki koshish me

jaagte jaagte, thak jaata hoon so jaata hu

ab main raashan ki kataro me nazar aata hu

koi chaadar samajh ke khinch na le 

fir se khali

koi chaadar samajh ke khinch na le 

fir se khali

main kafan odh kar foot-paath pe so jaata hu

ab main raashan ki kataro me nazar aata hu

apne kheton se bichhadne ki saza paata hu

ab main raashan ki kataro me nazar aata hu

Explore this song