Roman script

ab kya misaal doon maein tumhare shabaab ki

insaan ban gayee hai kiran mahtaab ki

chehre mein ghul gaya hai haseen chandni ka noor

aankhon mein hai chaman ki jawan raat ka suroor

gardan hai ek jhuki hui daali gulab ki

ab kya misaal doon

gesu khule to shaam ke dil se dhuan uthe

chhule kadam to jhukke na phir aasman uthe

sau baar jhilmilaye shama aaftab ki

ab kya misaal doon

deewar-o-dar ka rang, yeh aanchal, yeh pairhan

ghar ka mere chirag hai boota sa yeh badan

tasveer ho tumhi jannat ke khwab ki

ab kya misaal doon

Explore this song