Roman script

aazadi aayi bhi to kya kayam hai gulami ki rashme

janta ka jiwan aaj bhi hai sharmaya daro ke bas me

sharmaya daro ke bas me aazadi aayi bhi to kya 

kayam hai gulami ki rashme janta ka jiwan aaj bhi hai

sharmaya daro ke bas me sharmaya daro ke bas me

jo garib the or garib hue jo amir the or amir bane

kala dhan band tijori fir desh ki kya takdir bane

sahu ki nahi neta ki nahi daulat ki hukumat aaj bhi hai

insano ko jine ke liye paiso ki jarurat aaj bhi hai

wo log jo kapde bunte hai wohi log yaha adhnange hai

ye kaisi sone ki chidiya pag pag pe jaha bhikhmange hai

pag pag pe jaha bhikhmange hai aazadi aayi bhi to kya 

kayam hai gulami ki rashme janta ka jiwan aaj bhi hai

sharmaya daro ke bas me sharmaya daro ke bas me

kheti pesa ye desh magar aata hai anaj videsho se 

har gaw shahar me aa pahucha bekari ke andesho se

godam me kaid kiye baitha koi kheto ki jawani ko

jaha dudh ki nadiya bahti thi waha log taraaste pani ko

waha log taraaste pani ko

apna vyapar badhane ko mandir maszid ko ladwate hai

insan nahi saiatan hai ye anjano ko bahkate hai

anjano ko bahkate hai apne man subo ke liye 

ladte hai ladai subo ki talwar banakar bhasha ko

bharat ko kata karte hai nirdhan na bagawat kar baithe

isiliye to hi ye dhanwale kismat ki duhai dete hai

takdir ki charcha karte hai takdir ki charcha karte hai

khate hai desh ki roti or gate hai geet videsho ke

inhe lal kahe ya dalal kahe ye ma ko becha karte hai

ye ma ko becha karte hai aazadi aayi bhi to kya 

kayam hai gulami ki rashme

Explore this song