Roman script

ha, aayi ajal ai jindagi

gam ka jamana tal gaya

ab kya girengi bijaliya

jab aashiya hi jal gaya

aa o shab-e-gam aaye ja

sare jaha par chhaye ja

ab tu hi tu rah jayegi

ab kal na haragij aayegi

wo din jo dushman tha tera

wo jindagi ka din mera

wo din hamesha ke liye

haa din wahi din bhar gaya

gam ka jamana tal gaya

iss umra ka awwalpana

iss umra ka aakhirpana

ek jhuth ka darbaar hai

baatilpana jaahilpana

ye jindagi kuchh bhi nahi

ye jindagi kuchh bhi nahi

natak ka jhutha khel hai

jab tak chala so chal gaya

gam ka jamana tal gaya

ha, aayi ajal ai jindagi

gam ka jamana tal gaya

ab kya girengi bijaliya

jab aashiya hi jal gaya

Explore this song