Roman script

mere khwaabon mein jo aaye, meri neendon ko churaaye 

mere khwaabon mein jo aaye, meri neendon ko churaaye 

mera dil dhadkaaye, mera hosh udaaye

ho, saajan, ho saajan

aayega, aayega, aayega saajan

laheraayi jhoomke, masti kya chha gayi

dekha jo aaina main to uff sharma gayi

badla ye roop mera aise, badli mein dhoop khile jaise

pehli bahaar ka nasha hai, aankhon mein pyaar ka nasha hai

mujhe aise tadpaaye, o mujhe vaise bahekaaye

mujhe aise tadpaaye, mujhe vaise bahekaaye

mera dil dhadkaaye, mera hosh udaaye

ho, saajan, o saajan

aayega, aayega, aayega saajan

honton ko choom le, baahon ko thaam le

aayega ek din voh mere saamne

mera mehboob mera yaara, hoga voh chaand se bhi pyaara

keh doongi saath leke jaaye, doli baaraat leke aaye

mujhe seene se lagaaye, o mujhe saanson mein basaaye

mujhe seene se lagaaye, mujhe saanson mein basaaye

mera dil dhadkaaye, mera hosh udaaye

ho, saajan, saajan

aayega, aayega, aayega saajan

haan saajan

Explore this song