Roman script

aaye tere dar pe vo nakam na jaye

mushkil koi tere siva kaam na aaye

imdad ka ye waqt hai kar mushkile aasan

alla hai nigeban maula hai nigeban

alla hai nigeban maula hai nigeban

maula tujhe ahmad ke nawabo ki kasam hai

karbala me thadpate huye pyaso ki kasam hai

bemaut na mar jaye kahi teri ye santan 

alla hai nigeban maula hai nigeban

alla hai nigeban maula hai nigeban

dariya teri rehmat agar josh me aaye

is dubti kishti ko kinare se lagaye

tu chahe to tham jayenge tu chahe to tham jayenge

badte huye toofan alla hai nigeban maula hai nigeban 

alla hai nigeban maula hai nigeban 

alla hai nigeban maula hai nigeban

Explore this song