Roman script

pehli barish ki taraha dil ko bheega woh gayi

pehli azaan ki tarah mujhko jagaa woh gayi

awari awari wo puri awari

awari awari wo puri awari

khushboo saari kudrat ki 

lekar woh aise phirti

jese ke ho khud ek hawa mehki

awari awari wo poori awari

awari awari wo poori awari

geeli mitti ki taraha yaadein jagaa woh gayi

badle mausam ki tarah dhadkan badha woh gayi

awari awari wo poori awari

awari awari wo poori awari

meri zameen, mera aasmaan dono naya kar gayi

muskaate hoton se hi roshan jahan kar gayi

rukha rukha dil ka mausam wo khushnuma kar gayi

har gum har dard mera wo gumshuda kar gayi

hmm kone mai dur ke kahi kamra bana wo gayi

awari awari wo poori awari

awari awari wo poori awari

Explore this song