Roman script

aavarapan banjarapan ek khala hai sine me

hardam har pal bechaini hai kaun bala hai sine me

dil jis chiz ko haan kehta hai 

zehen usi ko kehta hai naa

dil jis chiz ko haan kehta hai 

zehen usi ko kehta hai naa

ishq me uf ye khud hi se ladna 

ek saza hai sine me

aavarapan banjarapan ek khala hai sine me

khanjar se haatho pe lakire 

koi bhala kyaa likh paaya

khanjar se haatho pe lakire 

koi bhala kyaa likh paaya

hamne magar ik pagalpan me 

khud ko chhala hai sine me

aavarapan banjarapan ek khala hai sine me

lyrics typed by: pournima gujar

Explore this song