Roman script

aapse hamko bichhade huye

aapse hamko bichhade huye ek zamana bit gaya

apna muqaddar bigade huye 

apna muqaddar bigade huye ek zamana bit gaya

aapse hamko bichhade huye ek zamana bit gaya

aapse mil ke in aankho ne kitne khwaab sajaye the

jis gulshan me hamne mil ke git wafa ke gaye the

us gulshan ko ujade huye

us gulshan ko ujade huye ek zamana bit gaya

apna muqaddar bigade huye

apna muqaddar bigade huye ek zamana bit gaya

qismat hamko le aayi hai gulashan se virane me

aansu bhi naakaam rahe hai dil ki aag bujhane me

is virane me jalte huye

is virane me jalte huye ek zamana bit gaya

aapse hamko bichhade huye ek zamana bit gaya

apna muqaddar bigade huye 

apna muqaddar bigade huye ek zamana bit gaya

Explore this song