Roman script

aapas ke jhagdo ne dekho bharat

ko barbad kiya jinka tha mohtaj jamana

aaj unhe mohtaj kiya aapas me ham rahe jhagadte

gairo ne aa raaz kiya jinka tha mohtaj jamana

aaj unhe mohtaj kiya

kabhi mere is bharat me bhi

dudh ki nadiya behti thi ji

dhan dhan ke the kothar bhare

anand me duniya rehti thi

tha kuber ka bandar yaha hiro ki hoti peshi thi

mitti ka sona banta tha anmol yaha ki reeti thi

aaj usi gulshan ko dekha kusum ne aa raaz kiya

jinka tha mohtaj jamana aaj unhe mohtaj kiya

kabhi mere gulshan ki daliya hari bhari lehrati thi

hari bhari lehrati thi jhum jhum se sundar kaliya

geet suhane gaate the tha saraswati ka vaas yaha

daulat inshan ki dasi thi the roz naye tyohar yaha

har roz diwali aati thi the roz naye tyohar yaha

ye kisne besur aaj kiya jinka tha mohtaj jamana

aaj unhe mohtaj kiya

naye tarane sunte sunte bhul gaye

ham apna dal gairo ke sang chalte chalte 

bhul gaye ham apni chal

aish mojh fashion me faskar

aaj hua bharat kangal

roti roti khade pukare

bharat maa ke lakho lal

roti roti khade pukare

bharat maa ke lakho lal

roti roti roti

Explore this song