Roman script

ap ke hasin rukh pe aaj naya noor hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

ap ke nigah ne kaha to kuchh jarur hain

khuli laton ki chhanv me khila khila ye rup hain

ghata se jaise chhan rahi subah subah ki dhoop hain

jidhar naajar moodi jidhar naajar moodi 

udhar surur hi surur hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

ap ke hasin rukh pe aaj naya noor hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

zuki zuki nigah me bhi hain bala ki shaukhiyan

dabi dabi hasi me bhi tadap rahi hain bijaliyan

shabab aap ka shabab aap ka

nashe me khud hi choor choor hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

ap ke hasin rukh pe aaj naya noor hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

jahan jahan pade kadam wahan fija badal gayi

ke jaise sarabasar bahar ap hi me dhal gayi

kisi me ye kashish kisi me ye kashish 

kaha jo ap me hujoor hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

ap ke hasin rukh pe aaj naya noor hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

ap ke hasin rukh pe aaj naya noor hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

ap ke nigah ne kaha to kuchh jarur hain

mera dil machal gaya to mera kya kasoor hain

Explore this song