Roman script

aapke dil ne hamein aawaz di hum aa gaye

hum ko le aayi mohabbat aapki hum aa gaye

apane aane ka sabab hum kya batayen aap ko

baithe baithe yaad aayi aap ki hum aa gaye

hum hain dil wale bhala hum par kisi ka zor kya

jayenge apani khushi apani khushi hum aa gaye

hum ko le aayi mohabbat aapki hum aa gaye

kahiye ab kya hai charagon ki zarurat aap ko

leke aankhon me wafa ki roshani hum aa gaye

hum ko le aayi mohabbat aapki hum aa gaye

Explore this song