Roman script

aao logo tumhe sunao apne ghar ki kahani

nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

kahi hai dhokha kahi daga hai or kahi manmani

nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

ek taraf seema par sankat ek taraf makkari

udhar sipahi khun bahate idhar hai chor bazari

isse badhkar ab kya hogi apne patan ki nishani

isse badhkar ab kya hogi apne patan ki nishani

nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

kisi tarah ban jaye lakhpati inke yahi mansube

inko apna ghar bharna desh bhale hi dube

apne purkho ki izzat par fer diya hai pani

apne purkho ki izzat par fer diya hai pani

nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

kaha gaya wo samay ke jab the harischandar se dani

kaha ram hai kaha bharat hai kaha hai sita rani

wo bhi hindustani the or hum bhi hindustani

wo bhi hindustani the or hum bhi hindustani

nangi hokar nach rahi hai desh me beimani

suno bhayio ek tadapte dil ne tumhe pukara

aaj lagado nagar nagar me gaw gaw me nara

chahe apna bap ho chahe beta apna pyara

chahe apna bap ho chahe beta apna pyara

jo bhi yaha hai desh ka dushman dushman hai wo hamara

dushman hai wo hamara dushman hai wo hamara

Explore this song