Roman script

aansuo ko tham le sabr se kaam le 

aafato se na dare mushkil ko hal kare

apne man ki jiske hath mein lagaam hai 

aadami usi kaa naam hai 

aadami usi kaa naam hai 

aadami usi kaa naam hai o o ho 

aansuo ko tham le sabr se kaam le 

aafato se na dare mushkil ko hal kare

apne man ki jiske hath mein lagaam hai 

aadami usi kaa naam hai o o ho

aadami usi kaa naam hai 

beshara hoke bhi sahara dhundh le 

beshara hoke bhi sahara dhundh le 

chir ke bhawar ko jo kinare dhundh le 

jindagi sangram hai sangram mein laga rahe

phal ki aasha chhod ke jo kaam mein laga rahe

aaram jiske waaste sada haram hai

aadami usi kaa naam hai o o ho

aadami usi kaa naam hai 

ye hamana chahe jiske hatho mein na hath de

ye hamana chahe jiske hatho mein na hath de

khud bo khud hi chal pade agar koi na sath de

waqt se dare nahi kaya kahna uski shan ke 

waqt ka mukabla kare jo sina taan ke 

jiski har ek sans deti pyar ka paigam hai 

aadami usi kaa naam hai 

aadami usi kaa naam hai o o ho 

aansuo ko tham le sabr se jo kaam le 

aafato se na dare mushkil ko hal kare

apne man ki jiske hath mein lagaam hai

aadami usi kaa naam hai o o ho

aadami usi kaa naam hai

jo kisi ke dard ko apni najar se khinch le 

jo kisi ke aansuo se apne man ko sinch le 

jo niraash man ko nayi jindagi ki aas de 

rah ke khud andhere me dusaro ko prakaash de 

aise ko duniya kare pranaam hai 

aadami usi ka naam hai 

aadami usi ka naam hai 

o aansuo ko tham le sabr se jo kaam le 

aafato se na dare mushkil ko hal kare

apne man ki jiske hath mein lagaam hai

aadami usi kaa naam hai o o ho

aadami usi kaa naam hai

Explore this song