Roman script

aasu nahi bahana tu shahid ki hai maa

tu shahid ki hai maa

tere dudh ka jo rin tha deke lahu chukaya

khush ho ke lal tera bharat ke kam aaya

rokar bhi muskurana tu shahid ki hai maa

tu shahid ki hai maa

koi maa jo tujhko dekhe aasu bahate se

wo apne dil ka tukda bhejegi ran me kaise

muskake dil badhana tu shahid ki hai maa

tu shahid ki hai maa

marna to hai sabhi ko dunia me bari bari

ye maut wo hai mata jo hai jindagi se pyari

gaurav se sar uthana tu shahid ki hai maa

tu shahid ki hai maa

tere dudh ka jo rin tha deke lahu chukaya

khush ho ke lal tera bharat ke kam aaya

rokar bhi muskurana tu shahid ki hai maa

tu shahid ki hai maa

Explore this song