Roman script

aankho me tumhare jalwe hai

aankho me tumhare jalwe hai

hotho pe tumhare afsane

aankho me tumhare jalwe hai

hotho pe tumhare afsane

betab-e-dil se tang aa kar 

pahuche hai yaha tak diwane

betab-e-dil se tang aa kar 

pahuche hai yaha tak diwane 

aankho me tumhare

sahara bekaso ka hai yahi insaaf ka ghar hai

koi bhi ho yaha par martaba sabka barabar hai

yaha se mangne wala kabhi khali nahi jata

jaha bigdi hui taqdeer banti hai ye vo dar hai

taqdeer ke kab tak julm sahe

tumse na kahe to kis se kahe

tumse na kahe to kis se kahe

ye dard-e-mohabbat kya shai hai

ye dard-e-mohabbat kya shai hai

bedard zamana kya jane

ye dard-e-mohabbat kya shai hai

bedard zamana kya jane aankho me tumhare

tumhare aastane se na hum nakaam jayenge

guzarti hai jo is dil par vo ro ro kar sunayenge

tumhare dhar pe aaj aye hai hum

ye faisla karke yahi mar jayenge hum

ya muradein apni payenge

ya dil ki kali ab khil jaye

ya khak me hasti mil jaye

ya khak me hasti mil jaye

ae shama tere jalvo ki kasam

ae shama tere jalvo ki kasam

jalkar hi rahenge parvane

ae shama tere jalvo ki kasam

jalkar hi rahenge parvane

ae shama tere jalvo ki kasam

jalkar hi rahenge parvane

ae shama tere jalvo ki kasam

jalkar hi rahenge parvane ae shama tere

Explore this song