Roman script

beeta huwa pal kabhi gujarata nahi 

wo sehma huwa sa baitha rehta hai

raste ke kisi pichle mod par 

zinda uske bhi jazbat hote hai

aur kuchh arman bhi

gujar to mai jata hu kisi musafir ki tarah

aur wo bita pal wahi meri raah takta 

kisi ped ki tarah

ye aawaz bhi aise hi kisi pal ki hai

jo baitha hai kahi ird gird 

mere pichle manzil ke

meri jaan kahi bhi ja 

meri jaan kahi bhi ja

bas sambhal ke jana bas sambhal ke jana

yahi pe khada hai ghar tera 

yahi pe khada hai ghar tera

aana daubara aana daubara aana daubara

meri patharili manzil 

jaha pe main ruka tha thodi der

aur socha tha ke jindagi yahi ruk jayegi

lekin shuru hona meri kismat thi 

aur chalte rehna fitrat

ye album ye nagme ye isi raste mein mile

kuch khubsurat chize hai jara dekhe 

inme se koyi aapki to nahi

aana daubara aana daubara aana daubara

Explore this song