Roman script

aake manjil pe daga doge ye socha bhi na tha

aake manjil pe daga doge ye socha bhi na tha

ye mohabbat ka sila doge ye socha bhi na tha

aake manjil pe daga doge ye socha bhi na tha

aake manjil pe

dil mera tod ke muh mod ke jaoge kaha

mai tumhe apni nigaho se na jane dunga

dard ki raah me darta hu na kho jau kahi

apni chahat bhari panaho se na jane dunga

aake manjil pe daga doge ye socha bhi na tha

aake manjil pe

meri aankho me hai tasvir tumhari kabse

meri pooja ho mere dil ki ibadat tum ho

kitne janmo ka hai ye pyar tumhe kya malum

kitni sadiyo ki tadapati hui chahat tum ho

aake manjil pe daga doge ye socha bhi na tha

aake manjil pe

Explore this song