Roman script

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

tere siwa kisi ka intzaar nahi hai

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

puchhe koi ke khab-e-tamanna ka kya hua

rang-e-heena me khun hai dil ka mila hua

aankho ko aansuo par ikhtiyar nahi hai

tere siwa kisi ka intzaar nahi hai

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

zakhmo ki aag me hai teri aag ka dhua

tu dur hai nigah se dil se juda kahan

dil tujhko phul deta gunhegar nahi hai

tere siwa kisi ka intzaar nahi hai

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

tu hi bata ke rasme wafa tod du

kya rashmi kafan ke liye tujhko chhod du

itna bhi zindagi se mujhe pyar nahi hai

tere siwa kisi ka intzaar nahi hai

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

manzil mujhe hayat ki pane se rok le

jo mujhko tera sath nibhane se rok le

itni buland raah ki diwar nahi hai

tere siwa kisi ka intzaar nahi hai

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

aaja ke meri jaan ko karar nahi hai

Explore this song