Roman script

aaj tumse bichhad raha hoon main

aaj kehta hoon phir milunga tumhe

tum mera intazaar karti raho

aaj ka aitbaar karti raho

log kehte hai waqt chalta hai

aur insaan bhi badalta hai

kash ruk jaaye waqt aaj ki raat

aur badle na koi aaj ke baad

waqt badle ye dil na badlega

tumse rishta kabhi na tutega

tum hi khushboo ho meri saanso ki

tum hi manzil ho mere sapno ki

log bunte hai pyaar ke sapne

aur sapne bikhar bhi jaate hai

ek ehsaas hi to hai ye wafa

aur ehsaas mar bhi jaate hai

aur ehsaas mar bhi jaate hai

Explore this song