Roman script

aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de

aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de 

dard me dube geet na de, gham ka sisakta saaj na de

dard me dube geet na de, gham ka sisakta saaj na de 

bite dino ki yaad thi jinme, mai wo taraane bhul chuka

aaj nayi manzil hai meri, kal ke thikaane bhul chuka

na woh dil na sanam, na woh din dharam

abb door hoon sare gunaaho se

aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de

toot chuke sab pyar ke bandhan, aaj koyi janjir nahi

sheesha-e-dil me armaano ki, aaj koyi tasvir nahi

ab shaad hu mai, aazad hu mai kuch kaam nahi hai aaho se

aaj purani raahon se, koyi mujhe aawaaj na de

dard me dube geet na de, gham ka sisakta saaj na de

jivan badala duniya badali, mann ko anokha gyaan mila

aaj mujhe apne hi dil me ek naya insaan mila

pohucha hu waha, nahi door jaha

bhagvaan bhi meri nigaaho se

aaj purani raaho se koyi mujhe aawaaj na de

Explore this song