Roman script

aaj pawan ki chaal chura ke 

aaj pawan ki chaal chura ke 

mai badra ke pankh laga ke 

ji karta hai ud ud jau 

ji karta hai ud ud jau

nil gagan ko chhu ke aau

aaj pawan ki chaal chura ke

ho aaj pawan ki chaal chura ke 

mai badra ke pankh laga ke 

do naino me ab tak wahi sapna ghum raha hai

wahi sapna ghum raha hai ek anjani masti me

mera tan man jhum raha hai 

mera tan man jhum raha hai ho ho

mast hawa ke thande jhonke

pid paraye sah na pau

aaj pawan ki chaal chura ke

aaj pawan ki chaal chura ke 

mai badra ke pankh laga ke 

ye nadiya ka pani vaise to aag bhujaye

vaise to aag bhujaye par aaj mere sine me 

ek mithi agan lagaye ek mithi agan lagaye

ho ho jal darpan  me dekh ke mukhda

apne aap se mai sharmau

aaj pawan ki chaal chura ke 

ho aaj pawan ki chaal chura ke 

mai badra ke pankh laga ke 

aaj pawan ki chaal chura ke

ho aaj pawan ki chaal chura ke 

mai badra ke pankh laga ke 

ji karta hai ud ud jau 

nil gagan ko chhu ke aau

aaj pawan ki chaal chura ke

Explore this song