Roman script

harf harf heera hai, lafz lafz moti hain

hum hasinaao ki baatein toh nirali hoti hain

agar magar ki dagar dagar pe safar karoge kaise

asar asar sanam hai aisa ke sabar karoge kaise

bajne do bajne do sangeet ko ji haan

bajne do bajne do sangeet ko haan 

aaj mood hai ishqaiyaan aaj mood hai ishqaiyaan 

aaj mood hai ishqaiyaan aaj mood hai ishqaiyaan

chand jharoke chal saiyaa badal paar hai tanhaiyaan

choom le kehta hai mann ka manzar, haa naa hota hai 

andar andar haa na naa haa hota hai andar andar

aaj mood hai ishqaiyaan aaj mood hai ishqaiyaan

chand jharoke chal saiyaa badal paar hai tanhaiyaan

gustaakh mera shabaab usape yeh khaamoshiya

jannat mein denge hisaab humne hai kya kya kiya

chhalake yeh nain kataari pee lu pee lu ise

dhalake yeh rain adhuri jee lu jee lu ise

ooi maa zulfon ka taana baana ban jaa tu mera 

prem deewaana ooi maa, ooii maa, zulfon ka taana baana

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

nas nas baaje shehnaiyaan, pal pal pighle parchhaiyaan

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

chand jharoke chal saiyaa, badal paar hai tanhaiyaan

saanson ki yeh kashtiyaan, alhhad uchhalati hai re

usape yeh teri nazar, har pal fisalati hai re

hey sapano ke sheeshmehal, baahon ke khilate kaval

hothon se tere hothon pe, likh du main koyi gazal

itana hi baiyaan bole, aa jaa tu dheere haule haule

aa itana hi baiyaan bole

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

dhadkan bole taa thaiyaan, dil mein hoti gud gudiyaan

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

chand jharoke chal saiyaa, badal paar hai tanhaiyaan

bekadar se toh bewafa achi bekadar se toh bewafa acha

kisi se toh dil lagaati hai kisi se toh dil lagaati hai

mere mehboob se toh maut achi

mere mehboob se toh maut achi

ek baar toh chali aati hai ek baar toh chali aati hai 

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

chand jharoke chal saiyaa, badal paar hai tanhaiyaan

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

aaj mood hai ishqaiyaan, aaj mood hai ishqaiyaan

Explore this song