Roman script

Aaj maine socha hai tumko main na chumunga

Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko

Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai

Apko banaya hai

Rakh diya sitaron ka husn tere aanchal mein

Bhar diya ghataon ka rang tere kajal mein

Mauj teri chuddi hai leher teri jhanjhar hai

Chand tere maathe ka jagmagata jhumar hai

Chandani zameen par hai ya tumhara saaya hai

Aaj maine socha hai tumko main na chumunga

Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko

Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai

Apko banaya hai

Shaakh se lachak lekar di tumhari baahon ko

Ras gulab se lekar di in khaas hothon ko

Baadalon ko buna hai kaale kaale baalon mein

Is zameen ka sab sona rakh diya hai gaalon mein

Rab ne kis mohobbat se aapko banaya hai

Aaj maine socha hai tumko main na chumunga

Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko

Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai

Apko banaya hai

Aap ko banakar wo kitna khush hua hoga

Dekh kar tumhe wo bhi muskura utha hoga

Kis tarah tumhe usne husn se nawaaza hai

Jaan tumpar rakho bhi pyaar aa gaya hoga

Kya haseen chehra hai kya haseen kaya hai

Aaj maine socha hai tumko main na chumunga

Aaj main toh chumunga uss khuda ke haathon ko

Jis khuda ke haathon ne aapko banaya hai

Apko banaya hai

Explore this song