Roman script

aaj ki aawaz 

aaj ki aawaz jaag aye insan

waqt kahta hai waqt ko pahchan

aaj ki aawaz jaag aye insan

waqt kahta hai waqt ko pahchan

aaj ki aawaz

jindagi kitni behifazat hai

kal bhi aayega kya jamanat hai

din paresan hai rat hai hairan

waqt kahta hai waqt ko pahchan

aaj ki aawaz

dar ke saye me agar jawa hongi

ye nayi nashle kal kaha hongi

hosh me aa ja ab to aye nadan

waqt kahta hai waqt ko pahchan

aaj ki aawaz

kya nagar hai ye kaisi basti hai

yahan to mitti se jan sashti hai

jindagi muskil maut hai asan

waqt kahta hai waqt ko pahchan

aaj ki aawaz

dekh ghar aangan lut nahi jaye

pyar ke rishte chut nahi jaye

kal bachane ka aaj hi kar dhyan

waqt kahta hai waqt ko pahchan

aaj ki aawaz jag aye insan

waqt kahta hai waqt ko pahchan

aaj ki aawaz

Explore this song