Roman script

jise banaya khevanhara 

vahi aaj kar gaya kinara

apna banake aaj kisi ne lut liya re 

bhagya hamara

aaj ki raat aaj ki raat

chandani ang me aag lagaye

chakori jhar jhar nir bahaye 

aaj meraa chanda nahi hai sath

aaj ki raat

aaj ki raat aaj ki raat

magan man mand mand muskaye

chakori mann me khil khil jaye 

aaj mera chanda hai mere sath

aaj ki raat

basanti rut nayano me 

aaj ki pavas ban ke chhayi hai

nirali ye punam ki 

raat amavas ban ke aayi hai

kise nayana kaa nir dikhau 

kise mai mann ki pir batau

aaj meraa chanda nahi hai sath 

aaj ki raat

aaj kyon bajate sananan chhun 

mere panv ki ye payal

nayan me kaun samaya re 

bikharane laga meraa kajal

aaj mai git prit ke gaau 

kabhi sharamau kabhi musakau

aaj meraa chanda hai mere sath 

aaj ki raat

Explore this song