Roman script

aaj ke daur me ae dost ye manjar kyu hai

zakhm har sar pe har ik haath me patthar kyu hai

jab haqiqat hai, ki har zarre me tu rehta hai

fir zamin par kahin masjid, kahin mandir kyu hai

zakhm har sar pe har ik haath me patthar kyu hai

aaj ke daur me ae dost ye manjar kyu hai

apna anjaam to maalum hai sabko phir bhi

apni nazron me har insaan sikandar kyu hai

zakhm har sar pe har ik haath me patthar kyu hai

aaj ke daur me ae dost ye manjar kyu hai

zindagi jine ke kaabil hi nahin, ab faakir

warna har aankh me ashqo ka 

samandar kyoon hai

zakhm har sar pe har ik haath me patthar kyu hai

aaj ke daur me ae dost ye manjar kyu hai

Explore this song