Roman script

aaina saamane rakhoge to yaad aayunga

apani zulfon ko sanwaaroge to yaad aayunga

bhool jaana mujhe aasaan nahi hai itana

jab mujhe bhoolana chaahoge to yaad aaunga

ek din bheege the barsaat mein hum tum dono

ab jo barsaat me bheegoge to yaad aayunga

yaad aayunga udaasi ki jo rut aayegi

jab koyi jashn manaaoge to yaad aayunga

rang kaisa ho, ye sochege to yaad aaunga 

jab naya suit kharidoge to yaad aaunga 

dhyan har hal mein jayega meri hi janib

tum jo pooja mein bhi baithoge to yaad aaunga 

chandni raat mein, phoolo ki suahani rut mein 

jab kabhi sair ko nikloge to yaad aaunga 

jin mein mil jate the ham tum kabhi aate jate

jab bhi un galiyo se gujroge to yaad aaunga 

shailf mein rakhi hui apni kitabo mein se 

koi deewan uthaoge to yaad aaunga

sham ki lau pe sar-e-sham sulagate jalte 

kisi parwane ko dekhonge to yaad aaunga

jab kisi phul pe gash hoti hui bulbul ko 

sahan-e-guljar mein dekhoge to yaad aaunga

Explore this song