Roman script

aaina dekha to mera chehra badal gaya

aaina dekha to mera chehra badal gaya

dekhte hi dekhte kya kya badal gaya 

baadal meri zamin par aakar tham gaye

aayi zara si dhup jo saaya badal gaya

aaina dekha toh mera chehra badal gaya

uljhi rahi sawalo me jine ki har khushi

jab bujh gaye diye to mili hai roshni

aankhon me nind aayi to sapna badal gaya

dekhte hi dekhte kya kya badal gaya 

aaina dekha to mera chehra badal gaya

kaid kiye the khwab kisi ne nind kisi ne haari

haar gayi hai haar kahi par jit kahi par hari

kaid kiye the khwab kisi ne nind kisi ne haari

haar gayi hai haar kahi par jit kahi par hari

tarah tarah se khub waqt bhi bhes badal ke aaya

mili mujhe na dhup aaj ki, mila na kal ka saaya

manzil qarib aayi toh rasta badal gaya

dekhte hi dekhte kya kya badal gaya 

aaina dekha to mera chehra badal gaya

dekhte hi dekhte kya kya badal gaya 

aaina dekha to mera chehra badal gaya

kya kya badal gaya

Explore this song