Roman script

aag lagi tan-man me dil ko pada thaamna

raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna

aag lagi tan-man me dil ko pada thaamna

raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna, ho 

sooni hai aaj piya mori atariya

piya mori atariya, zara deejo khabariya 

dil tadpe jaise bina jal ki machhariya 

zara leejo khabariya 

sooni hai aaj piya mori atariya 

piya mori atariya 

dil tadape jaise bina jal ki machhariya 

zara leejo khabariya 

aan pade mushqil to aaye koi kaam na 

raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna, hu

saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye 

mujhe pal pal sataaye, dekho naina bhar aaye 

tan ka singaar mere man ko na bhaaye 

dekho naina bhar aaye 

saajan ki yaad mujhe pal pal sataaye 

mujhe pal pal sataaye 

tan ka singaar mere man ko na bhaaye 

dekho naina bhar aaye 

pyaar mera ho jaaye kahi badnaam na 

raam jaane kab hoga sainya ji ka saamna, haay 

laagi na chhoote karu koi bahaana 

karu koi bahaana, aaya naazuq zamaana 

dil mera bana piya tera nishaana 

aaya naazuq zamaana 

laagi na chhute karu koi bahaana 

karu koi bahaana 

dil mera bana piya tera nishaana 

aaya naazuq zamaana 

hoye bura ulfat ka dekho anjaam na 

raam jaane kab hoga sainya ji ka saamana

Explore this song