Roman script

aa zara mere humnashi, tham le, mujhe tham le

aa zara mere humnashi, tham le, mujhe tham le

zindagi se bhag kar aaya hu mai, mujhe tham le 

aa zara mere hum nashi tham le, mujhe tham le

aa zara

apni hasti se khud mai pareshan hu 

jiski manjil nahi aisa insan hu

apni hasti se khud mai pareshan hu 

jiski manjil nahi aisa insan hu

mai kaha tha kaha se kaha aa gaya

kya se kya ho gaya mai bhi hairan hu

aa zara mere humnashi, tham le, mujhe tham le

aa zara

bujh gaya bhi to kya apne dil ka deeya

ab na royenge hum roshni ke liye

bujh gaya bhi to kya apne dil ka deeya

ab na royenge hum roshni ke liye

dil ka shisha jo tuta to gum kyu kare

dard kafi hai bas jindagi ke liye

aa zara mere humnashi, tham le, mujhe tham le

aa zara

raat aati rahi, raat jati rahi

mere gum ka na lekin sawera hua

raat aati rahi, raat jati rahi

mere gum ka na lekin sawera hua

apne apne nasibo ki bate hai ye

jo mila hamko uska bahut sukriya

aa zara mere humnashi, tham le, mujhe tham le

zindagi se bhag kar aaya hu mai, mujhe tham le 

aa zara

Explore this song