Roman script

aa more sanware saiya mora jiya lahraye 
aa more sanware saiya mora jiya lahraye 
kale kale badal chhaye 
do tin sawan bhi kho jaye haye
aa more sanware saiya 
aa more sanware saiya mora jiya lahraye
leke sirahne ki aoth mai roye roye jau re 
mai roye roye jau re tori kasam more raja
akeli ghabrau re akeli ghabrau re
bali mori umar sanware
ro ro naina bhare banware haye
aa more sanware saiya 
aa more sanware saiya mora jiya lahraye
yaad tumhari jab aaye mera jiya baitha jaye
mera jiya baitha jaye ankho se nikle pani 
aur dil se nikle haye hamare dil se nikle haye 
dil ki bat kahi na jaye 
aur kahe bina bhi raha na jaye
haye aa more sanware saiya 
aa more sanware saiya mora jiya lahraye
mori atariya jo aao mai ankhiya bichhaungi
mai ankhiya bichhaungi abhi na aye more raja
mai jag ko sunaungi mai jag ko sunaungi
sab kuch karna prit na karna
prit hai maut bina ka marna haye
aa more sanware saiya 
aa more sanware saiya mora jiya lahraye

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Mehtab, Noor Mohammad Charlie