Roman script
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen to kahin aasman nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Jise bhi dekhiye woh apne aap mein ghum hai
Jise bhi dekhiye woh apne aap mein ghum hai
Zuban mili hai magar hum-zuban nahin milta
Zuban mili hai magar hum-zuban nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke shole
Bujha saka hai bhala kaun waqt ke shole
Yeh aisi aag hai jismein dhuaan nahin milta
Yeh aisi aag hai jismein dhuaan nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahin milta
Tere jahan mein aisa nahin ki pyaar naa ho
Tere jahan mein aisa nahin ki pyaar naa ho
Jahan ummeed ho iski wahan nahin milta
Jahan ummeed ho iski wahan nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta
Kahin zameen to kahin aasman nahin milta
Kabhi kisi ko mukammal jahan nahi milta.
हिंदी में गीत
कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
कहीं ज़मीन तो कहीं आसमान नहीं मिलता
कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
जिसे भी देखिए वो अपने आप में गुम है
जिसे भी देखिए वो अपने आप में गुम है
ज़ुबां मिली है मगर हम-ज़ुबां नहीं मिलता
ज़ुबां मिली है मगर हम-ज़ुबां नहीं मिलता
कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
बुझा सका है भला कौन वक़्त के शोले
बुझा सका है भला कौन वक़्त के शोले
ये ऐसी आग है जिसमें धुआं नहीं मिलता
ये ऐसी आग है जिसमें धुआं नहीं मिलता
कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
तेरे जहां में ऐसा नहीं कि प्यार ना हो
तेरे जहां में ऐसा नहीं कि प्यार ना हो
जहां उम्मीद हो इसकी वहां नहीं मिलता
जहां उम्मीद हो इसकी वहां नहीं मिलता
कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
कहीं ज़मीन तो कहीं आसमान नहीं मिलता
कभी किसी को मुकम्मल जहां नहीं मिलता
Explore this song