Roman script

Ya habeebi
Ya habeeb

Ya habeebi

Ya habeeb

He

Maine rakha hai muhabbat apne afsaane ka naam

Maine rakkhaa hai muhabbat

Tum bhi kuchh achchhaa saa rakh do apne deewaane kaa naam

Maine rakha hai

Kis qadar khoobsoorat hai tere deedaar ki duniyaa

Meri nazron ki jannat hai zulf-o-rukhsaar ki duniyaa

Kis qadar khoobsoorat hai tere deedaar ki duniyaa

Tumhen pahchaanaa hai khudaa ko samjhaa hai

Khudaa ko jaanaa hai

Maine rakha hai muhabbat apne afsaane ka naam

Maine rakha hai

Dil pe tum haath jo rakh do meri taskeen ho jaaye

Jaaneman zindagi meri kuchh to rangeen ho jaaye

Dil pe tum haath jo rakh do meri taskeen ho jaaye

Nazar mil jaane do qayaamat aati hai

Qayaamat aane do

Maine rakha hai muhabbat apne afsaane ka naam

Maine rakkhaa hai

Ishq par kya guzarti hai

Husn ye raaz kya jaane

Mere dil ke tadapne ka koyi andaaz kyaa jaane

Ishq par kya guzarti hai

Husn ye raaz kya jaane

Hai dil parwaane ka

Koyi hamse poochhe

Mazaa jal jaane kaa

Maine rakha hai muhabbat apne afsaane ka naam

Maine rakkhaa hai muhabbat

Tum bhi kuchh achchhaa saa rakh do apne deewaane kaa naam

Tum bhi kuchh achchhaa saa rakh do apne deewaane kaa naam

Maine rakha hai muhabbat apne afsaane ka naam

Maine rakha hai...

हिंदी में गीत

या हबीबी

या हबीब

या हबीबी

या हबीब

हे

मैंने रखा है मोहब्बत अपने अफ़साने का नाम

मैंने रखा है मोहब्बत

तुम भी कुछ अच्छा सा रख दो अपने दीवाने का नाम

मैंने रखा है 

किस क़दर ख़ूबसूरत है तेरे दीदार की दुनिया

मेरी नज़रों की जन्नत है ज़ुल्फ़-ओ-रुख़सार की दुनिया

किस क़दर ख़ूबसूरत है तेरे दीदार की दुनिया

तुम्हें पहचाना है ख़ुदा को समझा है

ख़ुदा को जाना है

मैंने रखा है मोहब्बत अपने अफ़साने का नाम

मैंने रखा है

दिल पे तुम हाथ जो रख दो मेरी तस्कीन हो जाए

जानेमन ज़िंदगी मेरी कुछ तो रंगीन हो जाए

दिल पे तुम हाथ जो रख दो मेरी तस्कीन हो जाए

नज़र मिल जाने दो क़यामत आती है

क़यामत आने दो

मैंने रखा है मोहब्बत अपने अफ़साने का नाम

मैंने रखा है

इश्क़ पर क्या गुज़रती है

हुस्न ये राज़ क्या जाने

मेरे दिल के तड़पने का कोई अंदाज़ क्या जाने

इश्क़ पर क्या गुज़रती है

हुस्न ये राज़ क्या जाने

है दिल परवाने का

कोई हमसे पूछे

मज़ा जल जाने का

मैंने रखा है मोहब्बत अपने अफ़साने का नाम

मैंने रखा है मोहब्बत

तुम भी कुछ अच्छा सा रख दो अपने दीवाने का नाम

तुम भी कुछ अच्छा सा रख दो अपने दीवाने का नाम

मैंने रखा है मोहब्बत अपने अफ़साने का नाम

मैंने रखा है...

Explore this song

Song video

Watch on YouTube

Additional song details

director: Aspi Azad

cast: Mehmood, L Vijyalaxmi, Sheikh Mukhtar, Helen, Jeewan

music label: Saregama