Roman script
Salma sitaaron wali Shagna di shab aayi re Banno se baane ke Milne ki jo rut laayi re Shehnaayi yun goonji Sabki aankhein bhar aayi re x(2) Solah baras ke do kadam Chokhat ke baahar kya gaye Teri kudmayi ke din aa gaye Haye banno.. Pardesiya ke des ke Chaubaare tujhko bha gaye Teri kudmaayi ke din aa gaye Le raha sau balaayein teri Maayi baabul ka ye ghar baar hai Ho genda gulabon se saji Doli teri taiyaar hai Jhoolon ke mausam woh tere Humse roke bhi roke naa gaye Teri kudmaayi ke din aa gaye Ni teri kudmaayi ke din aa gaye Alvida munderon ko Jab tu keh ke jayegi Raunak haveli ki Sang leke jayegi Koylein subah kisko Neend se jagaayengi Dhoop aangne mein ab se Kis se milne ayegi Khul ke kabhi jo na kaha Karte hum aaj sweekaar hain Apne bhaiya se kehna na kabhi Humko tujhse jyada pyaar hai Haathon mein choode saj gaye Tere gudiya khilone kahan gaye Teri kudmaayi ke din aa gaye... Solah baras ke do qadam Chaukhat ke baahar kya gaye Teri kudmaayi ke din aa gaye Ni teri kudmaayi ke din aa gaye x(2) Salma sitaaron wali Shagna di shab aayi re Banno se baane ke Milne ki jo rut laayi re Shehnaayi yun goonji Sabki aankhein bhar aayi re x(2)
Song details
- Singer: Shahid Mallya
- Film / album: Rocky Aur Rani Kii Prem Kahaani
- Composer: Pritam
- Lyricist: Amitabh Bhattacharya
Song video
director: Karan Johar
cast: Dharmendra, Jaya Bachchan, Shabana Azmi, Ranveer Singh, Alia Bhatt
music label: Saregama Music