Roman script

Kaate kaat mere dil pe zubaan hai

Bhede dil yeh aisa kamaal hai

Saala punchhun aaj kiska khayal hai

Raiton ki raani hai kisse kamaal hai

Surmay bhari woh hai balaa

Dekh ke usko zamaana jalaa

Maya ka jaal hai uski kalaa

Uske ishaaron pe main hoon chala

Jab woh chale sansaar jhuke

Jab woh mude tarni bahe

Jab haath uthaye aandhi udhe

Jab palkein jhukaye to waqt ruke

Darta karta phir bhi hai mera mann

Naam sun ke badh jaaye dhadkan

Mitti pe pade jab uske kadam

Karde sakht zamneen ko firse naram

Jalwa teri aankhon ka dekh yeh jalwa

Mujhe paas bula mat sharma

Teri yaad mein roj hoon jalta

Dikha de tu apna jalwa

Teri aankhon ka dekh yeh jalwa

Mujhe paas bula mat sharma

Teri yaad mein roj hoon tadpa

Dikha de tu apna

Samandar ke jaisi badhti lehar

Bawandar ke jaisi dhaati kehar

Sone sa chamke hai uska badan

Chhu de to amrit ban jaaye zehar

Asli hai chehra use sab hai pata

Jaal hai gehra usse kuch na chupa

Dil hai jo thehra use nahi hai pata

Kya teri maaya zaraa mujhe bhi bata

Dhundhun main usko kahan

Honthon pe jiske hai lipta jahan

Itna dard kyon maine sahaa

Jab milne hi the dono jahan

Ruk gayi meri saans bhi

Mehsoos karne ki aas bhi

Khull jaa mujhmein jaise chashni

Katt gayi hai saali raat bhi

Jalwa teri aankhon ka dekh yeh jalwa

Mujhe paas bula mat sharma

Teri yaad mein rozz hoon jalta

Dikha de tu apna jalwa

Jalwa teri aankhon ka dekh yeh jalwa

Mujhe paas bula mat sharma

Teri yaad mein rozz hoon tadpa

Dikha de tu apna

Explore this song