Roman script

To kaise hai aap log?

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai

Jalne walo ki to rooh bhi jalani hai

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai

Inki bhookh bhi to maine hi mitani hai

Inko kya pata maine kari kitni mehnat

Saari baaton se tha main poora sehmat

Saari zindagi inhone mujhko rulaya

Inko bhi to mila tha jo maine kamaya

Rote rote bhi inka dhanda maine chalaya

Phir bhi inhone hai saara dhanda mera khaaya

Yeh saari inki maya inka hi kala saya

Inke mayazaal se main bhi to bach na paya

Inhein lagta hai main ek fakeer hun

Agar yeh hath hain to main inki lakeer hun

Jin hathon ne hai mujhko dabaya

Unn hathon ki to dekh beta main zanjeer hoon

Ameeron wala khwaab chaato inki dhool

Dikhne mein sundar yeh kaante wale phool

Phool se bhara dekh mera pool

Tum hoge yahan ke principle par main hun poora school

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai

Jalne walo ki to rooh bhi jalani hai

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai

Inki bhookh bhi to maine hi mitani hai

Jaan'na chahoge kya tum paison ki jaat?

Samjho baap hai ya samjho ise ashirwad

Banata todta yeh zindagiyan raaton raat

Bharni jeb ya banani poori zaaydad

System hai badalna ya phir karna us'se blame

Pakadna chahte mujhe ya phir game

Main hun woh bull jo kabhi na hoga tame

Hath hai hilte inke jab yeh karte mujhpe aim

Gareeb hai chup kyunki ameeron ki easy bail

Ameer hai khush kyunki gareebon ki lagi sale

Ghalti hai kiski? Aur badle mein kaun jaata jail?

Ban'na hai cheetah ya rehna tumhe bas ek snail

Mazboor hun kabhi na hoti plate full

Harqatein maanega samaaj meri shamefull

Akela hi karunga main saara weight pull

Yaad rakhna I'm the one and only big bull

Let's go!

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai

Jalne walo ki to rooh bhi jalani hai

Ek kahaani hai jo sabko sunani hai

Inki bhookh bhi to maine hi mitani hai

The one and only big bull

The one and only big bull

Explore this song