Roman script

Puchhta hoon main khuda se ae khuda

Bata kahan pe hoon

Ruk gaya tha main safar mein

Jis jagah pe kya bata wahan pe hoon

Main kahan pe hoon yeah yeah yeah

Yeh bata de main abhi kahan pe hoon

Yeah yeah yeah

Itna toh bata de main main kahan pe hoon

Yeah yeah yeah

Kahan pe kahan pe kahan pe hoon

Jagah nahi jo meri kya wahan pe hoon

Jaane kisko jhoothi main yeh aas de raha tha

Jab woh milne aaya aakhiri main saans le raha tha

Iss kisam ka pyaar maine kar rakha hai usese

Mere honth thhe sile par uska naam le raha tha

Door jaata kaise jab main paas kabhi tha nahi

Manzilen pata thi jinka rasta pata nahi

Aake maut paas baithi puchhti hai mujhse

Yaar yeh bata de mujhko tu abhi tak mara nahi

Dekha aaine mein, khud pe hans diya

Sach chhupaya mera sabne jhooth tha jo likh diya

Muft mil raha tha gam mana na kar saka

Jo aayi khushiyan samne saamna na kar saka

Iss zameen ka dard yaaron aasman se puchho

Maine sabka haal poocha yaaron koi mera haal puchho

Jo bhi kehna tha mujhe maine kyun kaha nahi

Dil tha tera ghar mera ab ghar mera raha nahi

Puchhta hoon main khuda se ae khuda

Bata kahan pe hoon

Ruk gaya tha main safar mein jis jagah pe

Kya bata wahan pe hoon

Main kahan pe hoon yeah yeah yeah

Yeh bata de main abhi kahan pe hoon

Itna toh bata de

Safar mein chal raha hoon ya

Safar hain mujh mein chal raha

Jhooth bole log ya main sach mein hi badal raha

Main woh badnaseeb joh na gir ke sambhal paaya

Main akela ho gaya jab se door nikal aaya

Ab farak nahi padega koi aaye raah mein

Kaun kitna hain mera ye padh liya nigaah ne

Ek bar hi sahi main paas tere aaunga

Waqt aaya akhiri toh milke tujse jaaunga

Din mahine saal main toh waqt kaat'ta hoon

Ghar ko tere jata main toh wohi raasta hoon

Naam tera hi liya har ek saans mein

Main pyaasa jo ki mar gaya kuyein ke hi paas mein

Poochta hoon main khuda se ae khuda

Bata kahan pe hoon

Ruk gaya tha main safar mein jis jagah pe

Kya bata wahan pe hoon

Main kahan pe hoon yeah yeah yeah

Yeh bata de main abhi kahan pe hoon

Yea yea yea

Itna toh bata de main kahan pe hoon

Yea yea yea

Jagah nahi jo meri kya wahan pe hoon

Main kahan pe hoon ?

Explore this song