Roman script

Jo bhi hai mera bura waqt

Woh rahega hamesha kya

Main maalik se maangu na kuch bhi toh

Hisse ka dega kya

Main maatha jab jaunga tekne

Padega kuch dena kya

Aur malik se mera sawaal

Tu hain phir bhi maine tujhe kyun hain dekha na

Kahan hain tu bata na maula re kahan hai tu

Kahan hain tu amawas ki aandhi mein shama hai tu

Kahan hain tu zaalim duniya ke zakhmon ki dawa hain tu

Kahan hain tu dekhe sab kuch phir chhipke kyun khada hai tu

Kisi ko yaad tera chehra toh

Kisi ke liye tera koi chehra hee nahi

Koi leta naam tera chillake

Toh koi kuch hain kehta hi nahi

Kisi ke liye tu hain har jagah,

Kisi ke liye toh wajood tera thehra hee nahi

Kisi ki kismat tu, kisi ke liye

Badkismati ka tu chehra hi sahi

Aisi taisi hoti jab main maatha tekun dar par

Kaise aise cheezein hoti joh na chaahu paana aksar

Waishi jeeta, neki karta woh banda jaata markar

Behki-behki baatein ye dikhana chaahun tujhko darpan

Boodha baap, nikale beta gharse bahar

Beti ho jawaan, nikale baap gharse bahar

Bhikari ho dwaar, nikale beti gharse bahar

Fir woh bani maa, beti paida ho toh kose yeh samaaj

Dhokhe hain janaab chain se sote hain kharaab

Jaat-paat ke naam pe loote khulle aam

Katte gale sare aam bandey lade pade sab

Adharm unke sath joh ho dharm ke khilaaf

Inko sharam nahi zara pehne mazhab ka libas

Yeh bhole tu karega inke karam ka hisaab

Bata teri kare na ye darz sab kitaab

Agar haan toh na bandh aankhon se dena insaaf

Kahan hai tu bata na maula re kahan hai tu

Kahan hai tu amawas ki aandhi mein shama hai tu

Kahan hai tu zaalim duniya ke zakhmon ki dawa hai tu

Kahan hai tu dekhe sab kuch phir chhipke kyun khada hai tu

Kyun paise ki wajah mare gareeb?

Kyun paisa likh de yahan naseeb?

Kyun paisa dekh dikhe tehzeeb?

Kyun paisa sabse zaroori cheez?

Aisa hai kya?

Ki paisa hai toh sabkuch jaisa chaaho waisa hai na

Tu baitha hai na paise mein tu rehta hai na

Joh dekhe chehra tera kaise shukraana wo kehta hai na

Khuda bana paisa baitha

Keemat hain maut ki keemat hain saans ki

Kemaat hain aapki keemat hain khwaab ki

Keemat kya subah aur shaam ki?

Keemat insaaf ki keemat hain haar ki

Keemat hain jeet haar punya paap

Aur iss samaj ki

Pehlu do hain sikke ke ek paisa aur ek khuda

Par khuda bhi sikke pe hua toh sikka hee khuda

Sikka qaafi khuda raazi khuda raazi sikka bhaari

Main gustakhi paise ko khuda

Man-ne ki phir karoon kyun na karu kyun na

Main gustakhi paise ko khuda

Maan'ne ki phir karoon kyun na karoon kyu na

Main gustakhi paise ko khuda maan-ne ki phir karoon kyun na

Kahan hai tu

Shayad paisa hi maula ka naya hain roop

Kahan hai tu

Zaalim duniya se bhi zaalim bada hain tu

Kahan hai tu

Khuda paisa nahi phir paisa khuda hain kyun?

Kahan hai tu

Khuda paisa nahi phir paisa khuda hain kyun?

Explore this song