Roman script

Cus when I say johny johny, yes papa

Haan johny ka hain khulla kharcha, khulla udaata

Johny pe 4 gaadiyan, phir bhi na school aata

Kaash main bhi johny jaisa bann pata

Cus when I say johny johny, yes papa

Haan johny ka hain khulla kharcha, khulla udaata

Johny pe 4 gaadiyan, phir bhi na school aata

Kaash main bhi johny jaisa bann pata

Are bhaisahb

Uske jooton pe likha hua hain dhai laakh

Mote saami uncle aunty, uske maai baap

Abhi suit boot pehen lambi gaadi se jo nikla

Uska bhai thha

Are bhaisahb

Woh chaahe chhoti chaddi pehne uska style thha

Woh dinner mein khaata pineapple wala raita

Johnny ne kabhi na dekha kamra kiraaye ka

Yeh steel wala glass chai ka

Chhoti moti baatcheet aye

Uski jagah main hota, yeh mera dream hain

Oh yaar ohde picche sohni-sohni kudiyaan

Aisi zindagi ki mujhe bhi toh need hain

Mainu vi chahide aa nave nave kapde

Main bhi dekhu itne paise kaise chhapte

Mujhe bhi chahiye ek bangla bada sa

Ek sohni billo jiski kamar manikk ke gaano pe matke

Phir johny ki saheli main pataata

Uske saath karoon main, woh kya thha, bachata

Phir mummy ne neend toh uthaata

Main utha, toh pada mere chaanta

Cus when I say johny johny, yes papa

Haan johny ka hain khulla kharcha, khulla udaata

Johny pe 4 gaadiyan, phir bhi na school aata

Kaash main bhi johny jaisa bann pata

Cus when I say johny johny, yes papa

Haan johny ka hain khulla kharcha, khulla udaata

Johny pe 4 gaadiyan, phir bhi na school aata

Kaash main bhi

Phir utha main, nahaya dhoya, nikla main bahar

Baal-vaal set kiye, fat-fati pe sawaar

Phir chhotu se bikhaari ne roka mera rasta

Kehta bhaiya bhookh lagi, note dedo 10 ka

10 ka? Itta saara paisa beta johny pe hain

Mere paas toh hain dil, voh bhi mouni pe hain

Khair yeh toh filmy baatein, bata kya chahiye?

Kehta zindagi toh aapki tarah chahiye

Woh kehta bhaiya aapke jaise mujhe baal chahiye

Aise kapde aur scooty bhi laal chahiye

Aapke jaise hee joote kamaal chahiye

Aapse thode zyada chawal aur dal chahiye

Woh kya hain bhaiya, body bhi banaani hain

Munni se bhaiya maine shaadi bhi karaani hain

Johny se zyada chhori aapki deewani hain

Johny se bhi moti saami aapne pataani hain

Oye chhotu tune toh dil jeet liya

Das-vas chhod, yeh le bees rupiya

Pehli baar feeling aayi, kuch toh theek kiya

Yeh le 10 aur, full total tees rupiya

Bye

Arey shukriya dada

Tussi ne ta mera din hee banaata

Aap pe ho paisa-vaisa johny se bhi jaada

Kaash main bhi aapke jaisa bann paata

Abey paagal hain kya? Huh?

Johny toh johny hain maayo

Cus when I say johny johny, yes papa

Haan johny ka hain khulla kharcha, khulla udaata

Johny pe 4 gaadiyan, phir bhi na school aata

Kaash main bhi johny jaisa ban pata

Cus when I say johny johny, yes papa

Haan johny ka hain khulla kharcha, khulla udaata

Johny pe 4 gaadiyan, phir bhi na school aata

Mai johny banu johny se bhi 4 guna zyada

Explore this song