Roman script
Roz raat takiye pe aansuon ki baarish hai Dhadkanein nahi dil mein gum ki rihaish hai Roz raat takiye pe aansuon ki baarish hai Dhadkanein nahi dil mein gum ki rihaish hai Ishq ho barabar ka bas yahi thi chaahatein Ik taraf bechaini kyon ik taraf hai raahatein Tu soye main taare gin'an, kachiyaan kachiyaan Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina Tum ho soye yahan pe main taare gin'an Kachiyaan kachiyaan Mere labon pe to bas hain shikayatein Milti nahi hai kyon dard mein riyayatein Mere labon pe to bas hain shikayatein Milti nahi hai kyon dard mein riyayatein Yeh toota dil toote khwabon ke silsile Aur kuch nahi hai ye teri inayatein Patjhad yahan wahan pe gulabon ke mausam hai Dhadkanein wahan jyada saansein yahan kam hain Tu soye main taare gin'an, kachiyaan kachiyaan Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina Tum ho soye yahan pe main taare gin'an Main tere nazdeek tu mujhse door hai Sochta hai dil koyi baat to zaroor hai Main tere nazdeek tu mujhse door hai Sochta hai dil koyi baat to zaroor hai Marzi hai teri in faaslon mein ya fir Itna bata kya yeh ishq-e-dastoor hai Main udaas baitha hoon tu khushi ki baahon mein Manzilon pe tu hai main reh gaya hoon raahon mein Tu soye main taare gin'an kachiyaan kachiyaan Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina Kachiyaan kachiyaan hai nindra tere bina Tum ho soye yahan pe main taare gin'an Kachiyaan kachiyaan
Song details
- Singer: Jubin Nautiyal
- Composer: Meet Bros
- Lyricist: Kumaar
director: Navjit Buttar
cast: Karan Mehra, Ihana Dhillon, Amardeep Phogat