Roman script
Life hai saamne sabke, nahi hai koi parda Studio mein lock hoon, tabhi har jagah hai charcha Saalo main tarsa tabhi ho rahi hai yeh varsha Paan mai kabhi meetha bhi hai, aur kabhi hai zarda Life kaabu mein, jab hua mai bekaabu Kaise tu yeh kar leta hai, sabko hota taajjub Banjar zameen fati maa ke gire aasun Ab baatein only universal, baaju hoja baaju Yaari ka pakka tera sabse acha dost hoon main Line ko theek karu peeche khada ghost hoon main Safar mein sangh hu tere, aaja tera bhoj lu main Dosti mein cheat kare, muh mein tere gosht du main Pehle main pyasa tha, ab leke aaya baadh main Cheekha hoon bahut tabhi laga hoon dahaadne Sahi khoda tumne haati nikala hai pahaad mein Pyar se kya baat karu, aa jaate hain laad mein Khushiyan saari kaagazi, par baatein chide cast ki Itna gussa kyun chote, ranjishe kyu aapsi Maan main omkar, cross, chand bhi aur swastik Jana hai khuda ko maine tabhi bana nastik Independent dilse aur saath mein mere label hai Khali meri thali the ab bhara pada table hai Rab ka yeh favor hai sun tabhi aise flavor hai Kaam ka hu pakka raja tabhi aisa tevar hai Toofano mein pala hu, pala hu main aag mein Gala me taap mein hun, tabhi chodu chaap mein Jigre mai dum hai toh, lage tu kyun yeh kaanp ne Bars ka baap hu main, tabhi kahe baap re Ujaale aye aur chata saara darkness Mudke toh dekho saara jag hai mere saath mein Aaya hoon karke mai lambe se faasle Mujhko chuna hai sun rab ka hoon khaas main I'm chosen x(8) Ka ka ka khatam kar kar du tera lip lock (zippp) Boli hai rap aur sun jaat hai meri hip hop (hiphop) Jahan se hona chahiye wahi se hoon mai thick bahut Gaane bhi main gaa leta hu, aur bars hai mere sick bruh Sheron ko moodke sun bana hoon main shayar aaj Khoon siyahi bani, tabhi chala hai mushaira Jagah teri le raha hu ,main badha raha hu daayra Aage sab kuch mera hai, sun meri hai yeh kaaynaat Jordan ka fan par hun par main jooton pe nahi kharchu Kehte sare dost, rappers jaise kyu nahi kartoot ? Uski main cheezon nahi aadat ko karu pursue Tera darna lazmi hai, aage khada hai arjun Meri melody de therapy, de jealousy aur allergy Yeh pehle bhi kaha tha, meri legacy toh failegi Meri territory mai jagah nahi, meri lehre de energy Hai alleppey se beverly yeh peedhi mujhe he sunegi Koi bala se mai gala nahi saath kadake ki kala thi Koi jagah nahi jaha salah nahi sab madari main nacha nahi Kabhi manali mai mala nahi par gale mai thi kharashi Mere kala ki nahi dalali hai nakashi yeh darati Pakdi hai gati ab nahi koi speed breaks Success ka bhooka baki, nahi hai koi cheat days Dooba sagar me, tabhi mila jaake sea face Kaam se kaam chori nahi, bus yehi hai mera secret I'm chosen x(8)
Song details
- Singer: Dino James
- Composer: Dino James
- Lyricist: Dino James
Song video
director: Himanshu Nisha Tyagi
genre: Hip-Hop (Rap)