Roman script

Bolo na tumko kya mila rula ke

Jee mera jala ke pal mein yun bhula ke

Acha tha humko khwab na dikhate

Bewajah hasate pyar na jatate

Wo thi yaar ki mehfil

Toota tha jahan yeh dil

Jo the jaan ho gaye hai bewafa

Wo thi yaar ki mehfil

Toota tha jahan yeh dil

Jo the jaan ho gaye hai bewafa

Labon pe naam koi dil mein koi chehra

Ho jata hai sabse unko pyar pehla

Apne paas woh dil rakh lete hai sabka

Unki khasiyat hai sabse ishq karna

Nazre milate ho khud se kis tarah

Jab dekhte ho tum yeh aaina

Jaane do yaara woh to bewafa the

Unko jaate jaate kya hi baddua de

Wo thi yaar ki mehfil

Toota tha jahan yeh dil

Jo the jaan ho gaye hai bewafa

Wo thi yaar ki mehfil

Toota tha jahan yeh dil

Jo the jaan ho gaye hai bewafa

Deewano ki mehfil thi woh

Jisme jaam se jaam mile

Sabki zubaan pe kisse the par

Sab kisse nakaam mile

Yahan kar ke ishq duniya mein

Kab chain kisi ne paya hai

Yeh pehla zehar hai duniya ka

Jise pi kar bhi aaram mile

Explore this song