Roman script
Raat kali ek khwaab mein aai
Aur gale ka haar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi
Aur gale ka haar huyi
Subah ko jab hum neend se jaage
Aankh tumhi se chaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aai
Aur gale ka haar huyi
Chaahe kaho isse, meri mohabbat
Chaahe hansi mein udaa do
Yeh kya hua mujhe, mujhko khabar nahi
Ho sake, tum hi bata do
Chaahe kaho isse, meri mohabbat
Chaahe hansi mein udaa do
Yeh kya hua mujhe, mujhko khabar nahi
Ho sake, tum hi bata do
Tum ne qadam toh, rakha zameen par
Seene mein kyon jhankaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aai
Aur gale ka haar huyi
Aankhon mein kajal, aur laton mein
Kaali ghata ka basera
Saanvali soorat, mohni moorat
Saavan ruth ka savera
Aankhon mein kajal, aur laton mein
Kaali ghata ka basera
Saanvali soorat, mohni moorat
Saavan ruth ka savera
Jabse yeh mukhdaa, dil mein khila hai,
Duniya meri gulzaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aayi
Aur gale ka haar huyi
Subah ko jab hum neend se jaage
Aankh tumhi se chaar huyi
Raat kali ek khwaab mein aai
Aur gale ka haar huyi
Explore this song